BLANK CANVAS
Home | If you don't know it yet! | Your Take | Chaat Masala | Blank Canvas | Captured in a Moment |
Write ups | Poems | Thoughts |
Industrial Training in France - An Experience Vinayak Malhotra brings us his own experience of the industrial training at the Mercure les 3 iles, Chatelaillon, France Read on... Mumbai Meri Jaan - A Cultural Experience An experience of the life and culture while on training in the city, brought to us by a French exchange student, Floriane Barreau Read on...
Want to start a Blog ???- Here's how !!
An interesting article on creating and managing blog by David deLima
|
LOVE - Ranjesh Kumar Sharma, TY BSC
Love is
like a sweet dream,
|
YEH MUMBAI KAISA SHEHER HAI - Viraj Chandrani, FY BSC
Yeh mumbai sheher hai ! yeh kaisa sheher hai?koi isse bombay
kehta hai toh koi isse bambai kehta hai, kissi ko isse
mumbai kehne ko majbur kiya jaata hai !
ALLAH SE DARKHWAST - Viraj Chandrani, FY BSC Allah se darkhwast karta rehta hoon, ki ya mujhe neend na aaye . . . . . Din toh yunhi dunyavi shorogul mein nikal jaata hain. . . Par jaise hi din ka ujala rukhsat hota hai, main raat ki tarikh ko cheer kar aasman ke paar pahuch jaata hoon, aur sitaro ke irdh girdh mandraya karta hoon. . . . Tab ! yakayak mere dil mein yeh khwaish aati hai ki main abhi aur tarrakki karun aur upar utthu aur ……. aur …………….. Fauran mere tassavur mein meri riyaya ka saaya ubharne lagta hain, aur mera jee phir beqarar hone lagta hain , jee karta hai kissi unche darakht par chad jaaun aur wahan se meri riyaya ko awaaz du, ki “ Aei meri azeez tareen riyaya utho, mein tumhe awaaz de rah hoon, aao apni tamaam pareshaniya mujhe batao, aur mein apni saari khwaishein tumhe suna doon, aao hum ek saath parwar digaar ki ibaadat karein” Par ! Zameen mein jad jamaaye binna sitaron mein teheniya kahan se phute ? ? ? ? Aur gujre hue sultaano ke zulmo ki satayi hui riyaya mein mein mujhe umeed jagaani hain ! dukho se bhari unki zindagi ki hifazat karni hain, unki khwaisho aur tamanao ko amli surat deni hain. . . Ya mere itne saare mansube ek hi daur mein pure ho jaaye. . . . . . Ki azmat, riyaya ki bhalai ka khwaab aur zaati khwaishein. . . jab in teeno mein kashmakash ho rahi ho toh mujhe neend kaise aayegi ammi kaise ? ? ? ? ?
|